Latest Hindi Romantic Shayari Images, Wallpapers, Love Shayari Images
Meri mohabbat hai woh koi majboori to nahin,
Woh mujhe chahe ya mil jaye, zaroori to nahin,
Yeh kuch kam hai ke basa hai meri saanson mein,
Woh saamne ho meri aankhon ke zaroori to nahin.
For Daily Updates Follow Us On Facebook
Hum Ruthe To Kiske Bharose,
Kaun Hai Jo Aayega Hume Manane Ke Liye,
Ho Sakta Hai Taras Aa Bhi Jaye Aapko..
Par Dil Kaha Se Laa Aapse Ruth Jane K Liye.
Aaj ki raat mera darde mohabbat sun le
Kap kapaate hue hontho ki shikayat sun le
Aaj izhare khayalat ka mouqa de de
Ham tere shahar me aaye hai musafir ki tarah…
Aaj pher li unhone aankhe humse Jo humpe jaan nisaar karte the.
Aaj naam lete bhi katraate hain Jo kabhi humse muhabbte ikrar karte the.
Aankhon Me Armaan Diya Karte Hai Hum
Sabki Neend Chura Liya Karte Hai
Ab Se Jab Jab Aapki Palkay Jhapkeygi
samaj Lena Tab Tab Hum Aapko Yaad kiya karte Hai
Aansu na hote to aankh itni haseen na hoti
Dard na hota to khushiyo kya hoti
Puri karte khuda yuhi sab muraade
To ibadat ki kabhi zarurat na hoti.
Aap Hame Rulado Hame Gam Nahi
Aap Hame Bhulado Hame Koi Gam Nahi
Jis Din Humne Aap Ko Bhula Diya
Smaj Lena Is Duniya Me Hum Nahi…
Aap ki aashiqi ne humein mushoor kar diya
Apne sath jeene par majboor kar diya
Kitna seedha aur saccha sa hai prem tumhara
Ki humari Call se bajta hai mobile mein wo pyar bhara gana hamara…
Aapke deedar ko nikal aaye hai0 taare
Aapki khushboo se chha gayi hai bahare
Aapke saath dikhte hai kuch aise nazare Ki
Chhup chhup ke chand bhi bas aaphi ko nihare…
Aapki hasi pe chhidakte hain hum jaan
Aapki khushi pe toh hai sab kuch kurbaan
Aapke bin toh ye jahan lage veeran
Kyuki aap toh hai jaise is dil ka gulistaan
Aapko miss karna roz ki baat ho gayi
Yaad karna aadat ki baat ho gayi
Door rehna kismat ki baat ho gayi
Aapko bhul jaye humare bus ke bahar ki baat ho gayi…
Aasman se uncha koi nahi
Sagar se gahra koi nahi
Yun to mujhko sabhi Pyare hai
Par aapse Pyara koi nahi…
Agar hum na hote to ghazal kaun kehta
Aap ke chehre ko kamal kon kehta
Yeh to karishma hai mohabbat ka
Varna pathro ko tajmahal kaun kehta..
Aisa nahi ki aap ki yaad aati nahi
Khata sirf itni ki hum batate nahi
DOSTI aap ki anmol hai hamare liye
Samjte ho aap isliye jatate nahi.
Ajab si kashish hai tujhme ki hum tere khayalon me khoye rahte hain
Ye sonch kar ki tum khabon me aaogi hum din me bhi soye rahte hain…
Aks-e-Khushbu hu bikharne se na roke koi
Aur agar bikhar jau to mujhko na samete koi
Kaanp oothti hu mai ye soch k tanhai me ki
Mere chehre pe tera naam padh na le koi…
Anjaan Hai Anjaan Hi Rahne Do
Kisi Ki Yaado Me Pal Pal Yun Hi Marne Do
Kyoun Badnaam Karte Ho Humara Naam Leke
Ab Toh Iss Naam Ko Benaam Hi Rahne Do
Ankho se wo jab hume dekhte hai
Hum ghabrakar ankhe jhuka lete hai
Kon milaye un ankho se ankhe
Suna hai wo ankho se apna bna lete hai…
Apne Dil Mein Tumhare Pyar Ki Dastaan Likhi Hai
Na Thodi Na Bahut Tamaam Likhi Hai
Kabhi Humaare Liye Bhi Dua Kar Liya Karo
Kyon Ki Humne Apni Har Ik Saans Tumhare Naam Likhi Hai
Apne dil ki baat unse keh nahi sakte Bin kahe bhi ji nahi sakte
Aie khuda aisi taqdeer bana ki vo khud aakar kahe Hum aapke bina rah nahi sakte…
Are bahaya hoga hamne koi aansu kisi apne ke liye
Par unke liye to woh pani ke katre se badhkar kuch bhi nahin
Dil mere seene se chura raha hai koi
Dur hokar bhi yaad aa raha hai koi
Ae khuda mujhe usse ek bar milade
Intezar mere liye kar raha hai koi…
Aankhon ki saja tab tak hai jab tak didar na ho
Dil ki saja tab tak hai jab tak pyar na ho
Yeh zindagi bhi ek saja hai ae mere dost
Jab tak aap jaisa koi yar na ho
Yaar kabhi pyar se khafa nahi hote
Mile dil kabhi juda nahi hote
Bhula dena uski kamiyon ko
kyunki Yaar kabhi khuda nahi hote
Sharm pasand hai hume aapki
Magar itna bhi na sharmaya karo
Yeh deewana fida hai tumhari nazaron par
Humse nazrein to na churaya karo
Teri wafa ne mujhe khud par sitam karne na diya
Jo aaye palkon par moti unhe jharne na diya
Maine samhja hai khud ko sada amanat teri
Isi khayal ne mujhko kabhi marne na diya
Sehmi si nigahon mein khwab hum jaga denge
Suni si rahon mein phool hum bicha denge
Hamare sang muskura kar toh dekhiye
Hum aapka har gham bhula denge
Jitna Chahte Hain Tumko Kash Chahti Utna Tum MujhKo
Agar Tum Mil Jati MujhKo To Duniya Ki Har Khushi Mil Jati MujhKo
Main chahta hi na tha use Lajawab karna
Warna jawab mere paas us ke har sawal ka tha
Uski jeet se hoti thi khushi mujhko
Yahi jawab mere pas apni haar ka tha
Ab Ke Barish Mein Kuch Aisa Karna
Apni Hatheli Pe Qatron ko Jama Karna
Jo Jama Ho Jayen Wo Sab Teri Chahat
Aur Jo Reh Jayen Wo Sab Meri Chahat
Meri yaadon mein tum ho ya mujh mein hi tum ho
Mere khayalon mein tum ho ya khayal hi tum ho
Dil mera dhadak ke baar baar ye puche
Meri jaan mein tum ho ya meri jaan hi tum ho
Dil ki tanhai mein yaad ke zakhm Bahut gehre hain
Koi bhi paas nahi jo Haath pakad k itna keh de
Ki Mat ho pareshan Aaj Se Hum Sirf Tere Hain
Mohabbat mein mili tanhaai ka Yeh aalam bhi kitna ajeeb hota hai
Hazaaro apne ho sath hamare Fir bhi wo shaks yaad aa hi jata hai
Meri Tanhai ka mujhe gila nahi
Kya hua jab koi mujhe mila nahi
Phir bhi dua karenge aapke vaaste
Aap ko wo sab mile jo mujhe mila nahi
Teri palkon pe aaj main apne khwab tamam rakh dun
Aaj tere liye kyun na main mohabbat ka paigam likh dun
Do lafz kehna to sabhi jante hain husn ki tarif mein
Tu kahe to dekh meri teri tarif mein jane kitne kalam likh dun
Dard Banke Dil Mein Chhupa Kaun Hai
Reh-Reh Kar Isme Chubhta Kaun Hai
Ek Taraf Dil Hai Aur Ek Taraf Aaina Dekhna Hai
Is Baar Pehle Tut-ta Kaun Hai
Khoobsurat hai zindagi ek khwaab ki tarah
Jaane kab toot jaye kaanch ki tarah
Mujhe na bhulana kisi baat ki tarah
Apne dil mein hi rakhna khoobsurat yaad ki tarah
Jitna pyar hai aapse Usse aur jyada pane ko jee chahta hai
Jane vo kaunsi khoobi hai aap mein Ki har rishta aapse banane ko jee chahta hai
Wo Mujh Tak Aane Ki Raah Chahta Hai
Lekin Meri Mohabbaton Ka Gawah Chahta Hai
Khud Aate Jaate Mousamo Ki Tarah Hai
Aur Mujh Se Mohabbat Ki Intiha Chahta Hai
Aapse yeh doori humse sahi nahi jati
Juda hoke aapse humse raha nahi jata
Ab toh waapas laut aayiye hamare paas
Dil ka haal ab lafzon mein kaha nahi jata
Unhe Pyar Karna Nahi Aata
Hume Pyar Karne Ke Siwa Aur Kuchh Nahi Aata
Jeene Ke Sirf Do Hi Raaste Hai
Ek Unhe Nahi Aata Aur Ek Hume Nahi Aata
Saath agar doge muskrayenge zaroo
Pyar agar dil se karoge to nibhayenge zaroor
Raah mein kitne kante kyun na ho
Awaaz agar dil se doge to aayenge zaroor
Ajeeb Bhi Woh Hai Naseeb Bhi Woh Hai
Duniya Ki Bhed Mein Kareeb Bhi Woh Hai
Unki Duaon Se Hi Chalti Hai Zindagi
Kyunki Khuda Bhi Woh Hai Taqdir Bhi Woh Hai
Tanhai kisi ka intezar nahi karti
Kismat kabhi bewafai nahi karti
Unse door hone ka asar hai warna
Parchai kabhi jism par waar nahi karti
Har shaam suhani nahi hoti
Har chahat ke piche koi kahani nahi hoti
Kuch to asar jaroor hoga mohobbat mein
Varna duniya meri mohobbat mein yun diwani na hoti
Kaise Kahun Ke Apna Banalo Mujhe
Nigahon Mein Apni Samaa Lo Mujhe
Aaj Himmat Kar Ke Kehta Hoon Ki Main
Tumhra Hu Ab Tum Hi Sambhalo Mujhe
Door Hokar Bhi Mere Paas Hai Aap
Meri Saanso Mein Basa Ek Ehsaas Hai Aap
Aap Ko Yeh Ehsaas Ho Na Ho
Par Mere Liye Bahut Khaas Hai Aap
Tere Har Gum Ko Apni Rooh Mein Utaar Lun
Zindagi Apni Teri Chahat Mein Sawaar Lun
Mulaqat Ho Tujhse Kuch Is Tarah
Meri Sari Umar Bas Ek Mulaqat Mein Gujaar Lun
Log aksar dua karte hain Ki khuda pyar walon ko Kabhi juda na kare
Par hum to humesha kahenge Ki jo na ho kismat mein Khuda usse pyar kabhi na karwaye
Dard Banke Dil Mein Chupa Kaun Hai
Reh-Reh Kar Isme Chubhta Kaun Hai
Ek Taraf Dil Hai Aur Ek Taraf Aaina
Dekhna Hai Is Baar Pehle Tut-Ta Kaun Hai
Teri Har Ada Mein Koi Baat Hai
Main Deewana Sa Hua Jaata Hun
Har Kisi Mein Dekhta Hun Tumko
Khud Se Begana Hua Jata Hun
Na koi kisi se door hota hai Na koi kisi ke khareeb hota hai
Pyar khud chal kar aata hai Jab koi Kisi ka naseeb hota hai
Ishq Wahi Hai Jo Ho Ektarfa
Izhaar e Ishq To Khwahish Ban Jaati Hai
Hai Agar Ishq To Aankho Mein Dekho
Zuban Kholne Se Ye Numaish Ban Jaati Hai
Chah Kar Bhi kabhi Na Tumko Bhula Payenge Hum
Karte Hain Wada Yeh Nibha Payenge Hum
Khud Ko Fana Kar Denge Is Jahan Se Hum
Par Naam Tera Na Dil Se Mita Payenge Hum
Mujhe Baahon Mein Bikhar Jaane Do
Apni Mahak Saason Se Mehek Jaane Do
Dil Machalta Hai Aur Saans Rukti Hai
Ab Toh Seene Mein Aaj Mujhe Utar Aane Do
Aap ko is dil mein utar lene ko jee chahata hai
Khubsurat se phulo mein dub jane ko jee chahata hai
Aapka sath pakar hum bhul gaye sab maikhane
Kyunki un maikhano mein bhi aapka hi chehara nazar aata hai
Tune mere jeevan se door har gum kar diya
Sangharsh se bhari samasyaon ko bahut door kar diya
Sargam bani hai mere liye teri awaaz
Isliye maine mere sur se tere sur ka sangam kar liya
Har Sapna Khushi Pane Se Pura Nahi Hota
Koi Kisi Ke Bina Adhoora Nahi Hota
Jo Chand Roshan Karta Hai Raat Bhar
Sab Ko Har Raat Woh Bhi To Poora Nahi Hota
Khwahish Hai Kisi Aise Ko Paane Ki
Jo Chahe Mujhe Apni Jaan Se Bhi Zaada
Jiski Baho Mein Aakar Mai Saara Jahan Bhul Jaun
Is dil ka kaha mano ek kaam kar do
Ek be-naam si mohabbat mere naam krdo
Meri zaat pr faqat itna ahsaan kar do
Kisi din subah ko milo or shaam kr do
Tadap kar dekho kisiki chahat mein Pata chalega intezar kya hota hai
Yun hi mil jata bina tadpe koi kisiko To kais pata chalega ki pyar kya hota hai
Har gum ki dawaa nahi hoti
Kya hota jo dua nahi hoti
Be-khuaff log tod dete hai dil
Yeh soch ke ki is zurm ki koi sazza nahi hoti
Na khuda dil banata na kisise pyar hota
Na kisiki yaad ati na kisika intazar hota
Dil diya hai ise sambhal ke rakhna
Shishe se bana hai pathar se dur rakhna
Ha mera har lamha chura liya aapne
Aakho ko ek chand dekha deya aapne
Hume zindagi de kisi aur ne
Par pyaar itna dekar jeena sikhaya aap ne
Har kashti ka kinara nahi hota
Jise karte hai pyar bas vahi hamara nahi hota
Rota hoga sagar bhi kisi ke intzaar mai
Warna sagar ka pani itna khara nahi hota
Mana ke ham izhaar nahi karte
Matlab ye nahi ki aapka khayal nahi karte
Mayoosi mai beet jate hai vo din
Jis din aap hamse baat nahi karte
Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai
Use pana nahi meri taqdeer mein
Shayad Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai
Phool se pehle khusboo ko to dekho
Karne se pehle kaam ko to dekho
Kisi ke roop mein diwana na bano
Surat se pehle uske dil ko to dekho
Ab bhi taza hai zakhm seene mein
Bin tere kya rakha hai jeene mein
Hum to zinda hain tera sath pane ko
Warna der kitni lagti hai zaher peene mein
Teri dosti mein nasha hai
Tabhi toh duniya hamse khafa hai
Na karo humse itni mohabbat dost
Ki dil hi puche dhadkan kahan hai
Aaj hum roye tanha unko bhulane ke liye
Tamaam yaad hai unki hume rulane ke liye
Unki yaadon ko mitane ka jariya na mila
Humne khud ko mitaya unki yaadon ko mitane ke liye
Tum hanso to khushi Mujhe hoti hai
Tum udas ho to ankhen Meri roti hain
Tum dor ho to bechaini Mujhe hoti hai
Tum ehsaas kar ke dekh lo mohabbat aisi hoti hai
Meri zindgi mujhe ye bata Mujhe bhoolker tujhe kya mila
Meri hasraton ka hisab de Dil todker tujhe kya mila
Tere chaar din ke pyar se Mujhe umr bhar ka gum mila
Main toot kar bikhar gayi Mujhe tod kar tujhe kya mila
Wo Ek Pal Hi Sahi Jis mein TUM Mil Jao
Mujhe Aur Us Ek Pal Se Zyada
Zindagi Ki Khwahish Bhi Nahi Mujhe
Tum hanso to khushi Mujhe hoti hai
Tum udas ho to ankhen Meri roti hain
Tum dor ho to bechaini Mujhe hoti hai
Tum ehsaas kar ke dekh lo mohabbat aisi hoti hai
Dil ko manana aasan nahi hota
Apno ko satana aasan nahi hota
Wada karna aasan hota hai
Magar wada nibhana aasan nahi hota
Chand Ke Nikalne Se Dikhti Hai Aapki Jhalak
Aap Samne Hote Ho To Na Jhapakti Hai Palake
Aapke Aage Feeki Lagti Hai Hire Ki Chamak
Aur Aap Se Hi To Aati Hai Zindagi Mein Ronak
Mera har pal aaj khoobsurat hain
Dil mein jo sirf teri hi soorat hain
Kuch bhi kahe yeh duniya gum nahi
Duniya se jyada hume teri jarurat hai
Sirf najdikiyon se mohabbat hua nahi karti
Fasle jo dilon mein ho to fir chahat hua nhi karti
Agar naraz ho khafa ho to shikayat karo hamse
Khamosh rahne se dilon ki duriyan mita nahi karti
Har pal usey sochna Har pal usey khojna
Kabhi use paa lena Kabhi use kho dena
Main ajeeb meri mohabbat us se bhi ajeeb
Use yaad karna Aur phir ro dena